Thursday, June 18, 2009
Izahaar
This one describes those situation, when you are proposing and the girl is enjoying every moment of your tenderness. But i guess this would be the kind of situation in most cases:
IZAHAAR
muskure ke pyaar se, do lafz arz ho gaye
hum izahaar hi to kar rahe the,intezaar arz ho gaye
woh chup chap iqraar ka lutf le rahi thi par
uss pyaar ki bahar mein ,gulzar arz ho gaye
sharma gayi,itra gayi, keh saki na kuch magar
muskan thi khili ki yun har zakhm marz ho gaye
itefaaq hi thi woh ghadi, gazal rahe the yun bikhar
har bahar ki hawa khili aur beh rahi sahar sahar
woh palak ko yun jhapak rahi,sharma gayi kali magar
hum phir bhi dekhte rahe, hotton ko yun thitar thitar..
bezubaan hi us waqt mein tha ishq ka parmaan jo
khuda hi hai gawah mera, hum ho agar beimaan jo
beh rahi thi zindagi , gulshan mein ho kaatein khile
jhuki jo unki ek nazar, har alfaz arz ho gaye
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment