tashrif to rakh mehboob mere
mein khoob tera deedar karoon
do pal sun le gazalein to meri
meri umar tera karzdaar banoo
tujhe khoob tarasha kudrat ne
paak hai tu jannat ki tarah
moti ki tarah tu seep mein chup
parkhoon main tujhe johri ki tarah
tera roop dekh ke shehzaadi
pariyan gul ki sharama jaayein
teri zulfon ki is badal mein
bin saawan mor nikal jaayein
tujhko kya nagma pesh karun
jo taj nahi tere kaabil
sultan kahun mein sainik ko
jo fateh kare teri mehfil
khushnasseb to hoon mein bhi
khushnuma mila mujhko yeh pal
bus beet jaye sadiyan aise
tu sunte reh meri yeh gazal
Saturday, June 20, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
wooww..!!
ReplyDeleteur damn gud at this...!!
kiske liye hai waise??
acchha aur interesting hai aashiq sahab
ReplyDeletewah !
ReplyDelete